wo ek lamha ki mushkil se katne wala tha main tang aa ke zamin mein simatne wala tha mera wajud muzahim tha chaaron jaanib se isi liye to main raste se hatne wala tha main takht-e-ishq pe faez tha jaanta tha kahan ki ek din mera takhta ulatne wala tha jo baat ki thi hawa mein bikharne wali thi jo khat likha tha wo purzon mein batne wala tha ye intiha thi ki ek roz main bhi danista ghubar ban ke hawa se lipatne wala tha phir ek sada pe mujhe faisla badalna pada main yun to us ki gali se palatne wala tha 'nasim' taza hawa ne diya tha mujh ko payam ghubar dil pe jo chhaya tha chhatne wala tha