bana hun main aaj tera mehman koi adu ko khabar na kar de utha ke wo teri anjuman se kahin mujhe dar-ba-dar na kar de ye wasl ki raat hai khudara naqab chehre se mat hatao tumhaare chehre ka ye ujala sahar se pahle sahar na kar de qasam jise zabt-e-gham ki de kar utha diya apne dar se tu ne kahin wo diwana umr apni baghair tere basar na kar de bade maze se main pi raha hun meri taraf tum abhi na dekho mujhe ye dar hai nazar tumhaari sharab ko be-asar na kar de sataya jis ko hamesha tu ne sada akela jo chhup ke roya wo dil-jala apne aansuon se tumhaara daman bhi tar na kar de 'qatil' ye wasl ke zamane hasin bhi hain tawil bhi hain magar laga hai ye dil ko dhadka inhen koi mukhtasar na kar de