wo ek nazar jo dil se jigar tak utar gai afsana-e-hayat ki takmil kar gai kya puchhte ho mujh se jawani kidhar gai bas itna yaad hai idhar aai udhar gai un ki nigah-e-lutf ye ehsan kar gai daman-e-dil umid ke phulon se bhar gai kya jaane koi kaisi qayamat uthaegi dil se nikal ke aah falak tak agar gai apni jagah qarine se har shai hai bazm mein wo kya gae ki raunaq-e-diwar-o-dar gai do din mein un ke phul se chehre ko kya hua do din mein un ki chand si surat utar gai 'zaidi' ba-faiz-e-marg ye sabit hua ki zist moti ki ek ladi thi ki tuti bikhar gai