wo ek rup tha mera jo tum ne dekha tha main tah-ba-tah tha ba-juz tah ke darmiyan kya tha main dasht-e-bul-hawasi mein jahan gira thak kar wahan se dur bahut dur mera saya tha nichod lo mujhe paikar jo dekhna ho mera main qatra qatra tha us dam bhi jabki dariya tha main aaftab liye sar pe jis ghadi pahuncha tamam hashr ke maidan mein andhera tha mere ye ghar mein kahan aa ke kho gaya sahra main jab chala tha mere sath sath sahra tha lahu lahu tha hum ahl-e-qalam ka dil yun to hamare zehn ka har ghaw dil se gahra tha