waste jitne the sab wahm-o-yaqin ne chhode aasman sar se hata panw zamin ne chhode kaun tha kyun na raha kaise karen us ka pata apne dukh bhi to makan mein na makin ne chhode khilqat-e-shahr na mani mera mulhid hona warna shoshe to bahut mufti-e-din ne chhode hum na aaghaz ke mujrim the na anjam ke hain hath mein hath liye tum ne tumhin ne chhode khwab ka ek parinda bhi na tabir hua jis qadar tir guman mein the yaqin ne chhode wasl ke saikdon wadon se bhi maddham na hue dil pe jo naqsh teri ek nahin ne chhode panw jamte hain kahin par na 'nazar' rukti hai hath jab se mere ek dast-e-hasin ne chhode