wo ek shakhs ki manzil bhi rasta bhi hai wahi dua bhi wahi hasil-e-dua bhi hai main us ki khoj mein nikla hun sath le ke use wo husn mujh pe ayan bhi hai aur chhupa bhi hai main dar-ba-dar tha magar bhul bhul jata tha ki ek charagh dariche mein jagta bhi hai khula hai dil ka daricha usi ki dastak par jo mujh ko meri nigahon se dekhta bhi hai ye meri sarhad-e-jaan mein qadam dhara kis ne ki mahw-e-khwab hun aankhon mein rat-jaga bhi hai use wo bhulne lagta hai jo use bhule 'ata' ki dil-zada bhi aur sar-phira bhi hai