wo firaq aur wo visal kahan wo shab-o-roz o mah-o-sal kahan fursat-e-karobar-e-shauq kise zauq-e-nazzara-e-jamal kahan dil to dil wo dimagh bhi na raha shor-e-sauda-e-khatt-o-khal kahan thi wo ek shakhs ke tasawwur se ab wo ranai-e-khayal kahan aisa aasan nahin lahu rona dil mein taqat jigar mein haal kahan hum se chhuta qimar-khana-e-ishq wan jo jawen girah mein mal kahan fikr-e-duniya mein sar khapata hun main kahan aur ye wabaal kahan muzmahil ho gae qawa ghaalib wo anasir mein e'tidal kahan bose mein wo muzaiqa na kare par mujhe taqat-e-sawal kahan falak-e-sifla be-muhaba hai is sitam-gar ko infial kahan