wo ghar tinkon se banwaya gaya hai wahan har khwab dafnaya gaya hai meri ulfat ko kya samjhega koi sabaq nafrat ka dohraya gaya hai mere andar ka chehra mukhtalif hai badan pe aur kuchh paya gaya hai hui hai zindagi uftad aise hawas mein har maza paya gaya hai kahi aisi hai 'amabar' us ki har baat shikasta-dil ko tadpaya gaya hai