dil ki kaya gham ne wo palti ki tujh sa ban gaya dard mein dil dub kar qatre se dariya ban gaya un ke aaghosh-e-mashiyyat mein hai nakaami meri kaam kuchh is tarah bigda hai ki goya ban gaya dil ki rut aisi to yaad-e-yar ne badli na thi ye chaman ujda hi is dhab se ki sahra ban gaya naqsh-e-mauhum-e-hayat afsana-dar-afsana tha jab ye naqsh ubhra to ek harf-e-tamanna ban gaya lo mubarak lazzat-e-gham bhi hai ab to nagawar dil mohabbat mein jo banna chahiye tha ban gaya jalwa-e-kasrat khud apna shauq-e-be-andaza tha mahfil-e-laila meri nazron mein laila ban gaya meri mahrumi bhi ruswa hai ki 'fani' haal-e-dil un ke kanon tak na pahuncha aur fasana ban gaya