wo had se dur hote ja rahe hain bade maghrur hote ja rahe hain base hain jab se wo meri nazar mein sarapa nur hote ja rahe hain jo phute aable dil ki khalish se wo ab nasur hote ja rahe hain bahut mushkil hai manzil tak rasai wo koson dur hote ja rahe hain kahan pahli si rah-o-rasm-e-ulfat nae dastur hote ja rahe hain hamare dagh-e-dil rah-e-talab mein charagh-e-tur hote ja rahe hain khuda-hafiz hai ab baada-kashon ka nashe mein chur hote ja rahe hain pila de saqiya baada-kashon ko nashe kafur hote ja rahe hain qarib-e-dil wo kya ai 'naz' aae nazar se dur hote ja rahe hain