ye lafz lafz shoala-bayani usi ki hai himmat hai aur kis mein kahani usi ki hai takmil ho rahi hai bichhadne ke bawajud baqi ki zindagi bhi kahani usi ki hai rut aa gai nai to use dekh kar laga shayad ye koi yaad purani usi ki hai manzar mein aur kya hai ye dekha nahin abhi lekin ye hai jo odhni dhani usi ki hai main to bahut dinon se ye kahta tha aaj to sab ne kaha ye sham suhani usi ki hai ek sang hai ki jine ka jis ko mila hai hukm is dil ki dhadkanon mein rawani usi ki hai khat ho koi kitab ho ya dil ka zakhm ho jo bhi hai mere pas nishani usi ki hai