wo hai aag wo pani hai sab ki ek kahani hai un khandaraat ke niche bhi jari naql-e-makani hai koi meri umr batae bachpan hai ki jawani hai aaine hain gard-alud aur khitta barani hai ghar ka naqsha hai tayar ab zanjir banani hai hath hamare zakhmi hain aur chattan girani hai koi sapna bhi dekho virani virani hai mere ghar ka sannata meri hi be-dhyani hai hijr ko hijr na kahna bhi 'mohsin' be-imani hai