wo hai apna ye jatana bhi nahin chahte hum dil ko ab aur dukhana bhi nahin chahte hum aarzu hai ki wo har baat ko khud hi samjhe dil mein kya kya hai dikhana bhi nahin chahte hum ek parde ne bana rakkha hai donon ka bharam aur wo parda hatana bhi nahin chahte hum tohmaten hum pe lagi rahti hain lekin phir bhi aasman sar pe girana bhi nahin chahte hum khud-numai hamein manzur nahin hai hargiz aise qad apna badhana bhi nahin chahte hum das se milna hai use ek hain un mein hum bhi is tarah us ko bulana bhi nahin chahte hum hum se milne ki tadap jab nahin us ko 'mina' hath phir us se milana bhi nahin chahte hum