ibrat-e-dahr ho gaya jab se chhupa mazar mein khair jagah to mil gai dida-e-e'tibar mein tod raha hai baghban pankhudiyan bahaar mein koi to ho fida-e-gul ek nahin mazar mein mahw hun yaad-e-chehra-e-shahid-e-gul-azar mein ab ye khizan-nasib dil ja ke mila bahaar mein auj-e-nihad-e-taba ki mit ke bhi shan rah gai mar ke main su-e-asman mil ke uda ghubar mein mere libas-e-kohna se hatti nahin hai un ki aankh shayad ulajh gai nazar jama-e-tar-tar mein tum ne shab-e-firaq mein dekhin nahin jo haalaten aaj wo aa ke dekh lo aalam-e-ehtizar mein jazb-e-shamim-e-zulf hai dana-e-dam se siwa saikdon dil khinch aae hain gesu-e-mushk-bar mein faisla ho hi jaega chhantne de bhid hashr ki 'saqib'-e-dil-hazin hai aaj tu bhi kisi shumar mein