wo hai bhagwan wo patthar main nahin rah sakta wo kisi aur ke paikar mein nahin rah sakta dharti aakash samay kuchh bhi nahin us ke liye wo kisi waqt-e-muqarrar mein nahin rah sakta wo hai la-intiha mahbus nahin hoga wo aks us ka kisi manzar mein nahin rah sakta din ka raja hun ujala hai singhasan mera mera dam ghutta hai main ghar mein nahin rah sakta jitne dharti pe parani hain main hun un se alag main hun insan main bandar mein nahin rah sakta apne andar mein koi bojh nahin rakhta 'soz' shiw koi jaise samundar mein nahin rah sakta