wo mujhe mo'atabar na dekh saka aur phir umr bhar na dekh saka is ko manzil to dikh gai fauran par wo daur-e-safar na dekh saka kya bataun sitam-zarif ka haal wo mujhe ek nazar na dekh saka tujh ko kaise dikhai deta main tu mujhe is qadar na dekh saka wo mujhe bar bar udata raha aur mere khasta par na dekh saka mere malik ne bhar diya kasa wo mujhe dar-ba-dar na dekh saka sab ke sab dekhte rahe taswir koi diwar par na dekh saka tu bhi dekh aa ke haalat-e-'ahmad' aur iqrar kar na dekh saka