wo hain tayyar imarat ko girane wale tu kahan hai meri buniyaad uthane wale sochta hun sar-e-sahil khada jaane kab se dub jate hain kahan par lagane wale un se kah do na karen dast-e-hawas hum pe daraaz hum to pine se ziyaada hain pilane wale gham ki tabir se pahle mujhe malum na tha mere ashaar ko sangit banane wale baadban tez hawaon se phate jate hain dub jaen na kahin par lagane wale raat hoti hai to jalte hain meri aankhon mein ye sitare jo hain suraj ke gharane wale kuchh to hai jis se hai baqi teri duniya ka jawaz kam hi dekhe hain talluq ko nibhane wale yunhi mear badalte rahe duniya ke agar phir kahan aaenge milne wahi aane wale bantte phirte hain har samt andheron ko 'nabil' silsila apne charaghon ka badhane wale