wo ham-safir the to qafas bhi chaman hi tha ab jaise aashiyan bhi mera aashiyan nahin mere junun pe un ko khalish si zarur hai ye aur baat hai ki wo kuchh mehrban nahin sab na-ummid ho ke zamane se ja mile ahl-e-wafa ka aaj koi raaz-dan nahin kaisi bahaar kaisa chaman kaisa mai-kada mera lahu bhi pi ke ye duniya jawan nahin hum ahl-e-gham ke pas dil-e-khun-chakan to hai tum ko sunaen haal wo tarz-e-bayan nahin naseh ki zid pe charkh ko lana tha rah par kaise kahen ki sai-e-junun raegan nahin