meri ghazal mein ek naya soz-e-jaan bhi hai mana abhi girani-e-lafz-o-bayan bhi hai kuchh dil bhi hai nashat-e-tamanna se shad-kaam aur kuchh teri jafa pe karam ka guman bhi hai kya is hujum-e-shauq se ghabra na jaega mana wo bad-guman-e-wafa mehrban bhi hai kuchh naz-e-tamkanat bhi hai pas-e-haya ke sath phir bar-e-arzu se zara sargiran bhi hai taklif-e-iltifat na dun us nigah ko ba-wasf-e-jaur-o-naz jo aaram-e-jaan bhi hai mail karam pe hai magar allah re ehtiyat paiman-e-arzu se mere bad-guman bhi hai us yar dil-shikan pe hain dildariyan bhi khatm jo hum se sargiran bhi hai aur mehrban bhi hai tu jis tarah sune ye hai tera moamla gham amr-e-waqia bhi hai aur dastan bhi hai kuchh 'askari' ka faiz bhi hai bais-e-ghazal aur kuchh 'salim' meri tabiat rawan bhi hai