wo hamein aur hum unhen bas dur se dekha kiye umr-bhar ek dusre ko hum yunhi chaha kiye us ne wada tod dala ye use haq tha magar kis qadar masum the hum rasta dekha kiye pa liya ahl-e-junun ne phir shahadat ka maqam aql wale maghfirat ki hi dua manga kiye tu ne meri samt na dekha palat ke ek bar jaane wale hum to tujh ko dur tak dekha kiye bant di allah ne waqt-e-sahar sab neamaten hum se ghafil dhup ke chadhne talak soya kiye kya bataun doston apni ye dil ki dastan hum kisi ki dil-lagi ko chahaten samjha kiye