wo hans hans ke wade kiye ja rahe hain fareb-e-tamanna diye ja rahe hain tera nam le kar jiye ja rahe hain gunah-e-mohabbat kiye ja rahe hain mere zakhm-e-dil ka muqaddar to dekho nigahon se tanke diye ja rahe hain na kali ghataen na phulon ka mausam magar pine wale piye ja rahe hain teri mahfil-e-naz se uthne wale nigahon mein tujh ko liye ja rahe hain mere shauq-e-didar ka haal sun kar qayamat ke wade kiye ja rahe hain harim-e-tajalli mein zauq-e-nazar hai nigahon se sajde kiye ja rahe hain abhi hai asiri ka aaghaz 'mahir' abhi to faqat par siye ja rahe hain