hawadis ham-safar apne talatum ham-inan apna zamana lut sakta hai to lute karwan apna nasim-e-subh se kya tutta khwab-e-giran apna koi nadan bijli chhu gai hai aashiyan apna hamein bhi dekh lo aasar-e-manzil dekhne walo kabhi hum ne bhi dekha tha ghubar-e-karwan apna mizaj-e-husn par kya kya guzarta hai giran phir bhi kisi ko aa hi jata hai khayal-e-na-gahan apna azal se kar rahi hai zindagani tajrabe lekin zamana aaj tak samjha nahin sud o ziyan apna jamal-e-dost ko paiham bikharna hai sanwarna hai mohabbat ne uthaya hai abhi parda kahan apna hamesha shama bhadkegi sada paimana chhalkega teri mahfil mein hum chhod aae hain josh-e-bayan apna