wo hashr-KHez inayat par utar aaya

wo hashr-khez inayat par utar aaya
bala ka rang hai aur raat par utar aaya

main khud udas khada tha kate darakht ke pas
parinda ud ke mere hath par utar aaya

wo mujh se todne wala hai phir koi wada
wo phir siyasi bayanat par utar aaya

teri jo baat mere dil ko hath dalti hai
main kyon ghuma ke usi baat par utar aaya

khuda kahan hai bas itna sawal tha mera
khuda ka banda meri zat par utar aaya

wo pahle-pahl to mujh se hi pyar karta tha
phir us ke baad kamalat par utar aaya

zara si baat thi ashkon ko pi gaya hota
gharib shakhs tha auqat par utar aaya

gaya to phir mere takiye se note nikle hain
amir hote hi khairaat par utar aaya

wo la-jawab hua jab zaban se khamosh
to us ka chehra sawalat par utar aaya


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close