wafur-e-sher hai aur raat hone wali hai

wafur-e-sher hai aur raat hone wali hai
tu chand hai to mulaqat hone wali hai

tumhaari baat ne dil ki ghata ko chhed diya
hamari aankhon se barsat hone wali hai

ye ek sath jo khamosh ho gae hain log
zarur koi badi baat hone wali hai

har ek shakhs hi tesha uthae phirta hai
buton ki shahr mein bohtat hone wali hai

wo apni aankhon mein aayat likh ke laya hai
is ajnabi se mujhe mat hone wali hai

main jaanta hun haqiqat sawang-e-mahshar ki
ye dil-lagi bhi mere sath hone wali hai

wo kar-e-ishq mein bhi kaamyab ho gaya hai
ab us ko lambi hawalat hone wali hai

hamare zabt ki pukhta-rawi se lagta hai
kuchh aur talkhi-e-auqat hone wali hai

safar to hoga magar raste nahin honge
ajib surat-e-haalat hone wali hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close