wo hasin ek raat kya kahiye thi mukammal hayat kya kahiye be-rukhi un ki ek qayamat thi hashr hai iltifat kya kahiye baada-e-chashm un ki uf tauba mast hai kaenat kya kahiye khamushi mein nihan fasana tha un ki mahfil ki baat kya kahiye jis se ho aaftab sharminda us ke rukh ki sifat kya kahiye