wo hawa na rahi wo chaman na raha wo gali na rahi wo hasin na rahe wo falak na raha wo saman na raha wo makan na rahe wo makin na rahe wo gulon mein gulon ki si bu na rahi wo azizon mein lutf ki khu na rahi wo hasinon mein rang-e-wafa na raha kahen aur ki kya wo hamin na rahe na wo aan rahi na umang rahi na wo rindi o zohd ki jang rahi su-e-qibla nigahon ke rukh na rahe aur dar pe naqsh-e-jabin na rahe na wo jam rahe na wo mast rahe na fidai-e-ahd-e-alast rahe wo tariqa-e-kar-e-jahan na raha wo mashaghil-e-raunaq-e-din na rahe hamein lakh zamana lubhae to kya nae rang jo charkh dikhae to kya ye muhaal hai ahl-e-wafa ke liye gham-e-millat o ulfat-e-din na rahe tere kucha-e-zulf mein dil hai mera ab use main samajhta hun dam-e-bala ye ajib sitam hai ajib jafa ki yahan na rahe to kahin na rahe ye tumhaare hi dam se hai bazm-e-tarab abhi jao na tum na karo ye ghazab koi baith ke lutf uthaega kya ki jo raunaq-e-bazm tumhin na rahe jo thin chashm-e-falak ki bhi nur-e-nazar wahi jin pe nisar the shams o qamar so ab aisi miti hain wo anjumanen ki nishan bhi un ke kahin na rahe wahi suraten rah gain pesh-e-nazar jo zamane ko pheren idhar se udhar magar aise jamal-e-jahan-ara jo the raunaq-e-ru-e-zamin na rahe gham o ranj mein 'akbar' agar hai ghira to samajh le ki ranj ko bhi hai fana kisi shai ko nahin hai jahan mein baqa wo ziyaada malul o hazin na rahe