wo hawa par sawar hai so hai kibr us ka madar hai so hai khud-numai shiar hai so hai aadmi ishtihaar hai so hai raegan hai mera khulus-e-wafa wo ana ka shikar hai so hai lakh minnat kare sakhi hatim bhik se hum ko aar hai so hai faqr-o-faqa nahin hai majburi ye hamara shiar hai so hai bar-e-ehsan utariye kaise naqd-e-jaan mustaar hai so hai dekhiye mauj ki pashemani dub kar bhi wo par hai so hai ye samundar hai ilm-o-danish ka be-karan be-kanar hai so hai