maal-e-ehtisab ye ki hum bade kharab hain kisi pe tanz kya karen ki khud hi aab aab hain basiraton ke irtiqa ki intiha hai aagahi meri nazar se dekhiye to khwahishen sarab hain kisi ka dard dekh kar tadap gae to ro diye shiar-e-dard-mand ko basarten azab hain ba-e'tibar-e-ilm jin ki haisiyat faqir si ba-e'tibar mal-o-zar wo sahab-e-nisab hain khirad tamam masalon ka hal junun se puchhti jawab ek chahiye sawal be-hisab hain hamare baad kasmapursi-e-ghazal ka daur hai hamein to khair chand qarin dastiyab hain