wo hazar hum pe jafa sahi koi shikwa phir bhi rawa nahin ki jafa to un ki khata nahin jinhen koi qadr-e-wafa nahin meri bad-zani pe ye ranjishen to kisi bhi taur baja nahin ki jahan-e-ishq mein bad-zani to huzur jurm-o-khata nahin mere ishq ko teri be-rukhi hi nasib hai to yahi sahi teri be-rukhi rahe shadman mujhe be-rukhi ka gila nahin ye ghalat ki mahfil-e-naz mein koi aashna-e-nazar na tha koi tum se kah to raha tha kuchh magar aah tum ne suna nahin unhen aur ilm-e-rah-e-wafa ye yaqin bhi aae to kis tarah ki unhi ke daman-e-naz par kahin khak-e-rah-e-wafa nahin mere ai dil-e-alam-ashna kisi wahm mein na ho mubtala tujhe rakh sakenge wo yaad kya kabhi jin ka dil hi dukha nahin ye mah-e-do-hafta ki chandni mein dil-e-shikasta ki hasraten kabhi mere dil hi se puchh lo jo tumhaare dil ko pata nahin ye kamal-e-jazba-o-sar nahin tere sang-e-dar hi ki baat hai tere ek dar pe jo jhuk gaya wo hazar dar pe jhuka nahin unhen yun na dar se hataiye unhen kuchh to de ke hi taliye ki wahi gharib-e-dayar hain wo gharib jin ka khuda nahin