khud nazaron pe nazaron ko hansi aati hai baghbanon pe bahaaron ko hansi aati hai ab ye kyun zikr-e-bahaaran pe chaman mein akasr phul to phul hain kharon ko hansi aati hai mehr-o-ikhlas ki duniya mein ye kya baat hui aaj yaron hi pe yaron ko hansi aati hai aisi be-jaan si hai mere harifon ki hansi jaise tufan pe kinaron ko hansi aati hai kya kare aah wo bechaara musafir jis par aap ki rah-guzaron ko hansi aati hai koi jab chand sitaron se ho masruf-e-sukhan kis qadar chand sitaron ko hansi aati hai khair ho khair mashiyyat ke iradon ki qasam aaj taqdir ke maron ko hansi aati hai hae kis mod pe aaya hai ab afsana-e-gham mere afsana-nigaron ko hansi aati hai hum hain mahrum-e-masarrat to koi baat nahin ye bhi kya kam hai sahaaron ko hansi aati hai gardish-e-waqt ne kya phir koi surat badli ya yunhi waqt-guzaron ko hansi aati hai shayad 'akhgar' hi ki tauba ki khabar hai yaro aaj saqi ke ishaaron ko hansi aati hai