wo hum se dur hote ja rahe hain bahut maghrur hote ja rahe hain bas ek tark-e-mohabbat ke irade hamein manzur hote ja rahe hain manazir the jo firdaus-e-tasawwur wo sab mastur hote ja rahe hain badalti ja rahi hai dil ki duniya nae dastur hote ja rahe hain bahut maghmum the jo dida-o-dil bahut masrur hote ja rahe hain wafa par murdani si chha chali hai sitam ka nur hote ja rahe hain kabhi wo pas aae ja rahe the magar ab dur hote ja rahe hain firaq o hijr ke tarik lamhe sarapa nur hote ja rahe hain 'shakil' ehsas-e-gumnami se kah do ki hum mashhur hote ja rahe hain