kaha ye aaj hamein fahm ne suno sahib ye bagh-e-dahr ghanimat hai dekh lo sahib jo rang-o-bu ke uthane mein haz utha lije mabaada phir kaf-e-afsos ko malo sahib ye wo chaman hai nahin ek se nahin jis mein tabaddul is ka har ek gul se soch lo sahib ki tha jo subh-e-shagufta na tha wo sham ke waqt jo sham tha so na dekha wo subh ko sahib pas is misal se zahir hai ye sukhan yani isi tariq se aalam mein tum bhi ho sahib jo sarnawisht hai hoga isi tarah se 'nazir' qaza qaza nahin hone ki kuchh karo sahib