wo husn-e-sabz jo utra nahin hai dali par farefta hai kisi phul chunne wali par main hal chalate hue jis ko socha karta tha usi ki gandumi rangat hai baali baali par ye log sair ko nikle hain so bahut khush hain main dil-e-girafta hun sabze ki paemali par ek aur rang mila aa ke sat rangon mein shua-e-mahr padi jab se teri baali par main khul ke sans bhi leta nahin chaman mein 'raza' mubaada bar guzarta ho sabz dali par