wo husn-e-zan se jae na husn-e-yaqin se hum

wo husn-e-zan se jae na husn-e-yaqin se hum
baithe hain shart bandh ke ek mah-jabin se hum

hum ne bisat-e-ilm-o-siyasat to jit li
daman ko si rahe hain magar aastin se hum

logon ne aasman pe kamanden bhi dal din
farigh nahin hain ab bhi kaf-e-sandalin se hum

koi to mauj aa ke hamein bhi uchhaal de
kab tak pade rahen sadaf-e-tah-nashin se hum

dekha to juz alam nahin hangama-e-wajud
be-kar munfail rahe duniya-o-din se hum

takhliq-e-sher ke liye lazim hai khun-e-dil
faslen uga ke laen hain mushkil zamin se hum


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close