hai udasi ka murtakib koi mujh mein rahta hai muztarib koi chand bhi raushni nahin deta jab se rutha hai be-sabab koi apne mauqif ki baat karta hai mujh se milta hai aa ke jab koi main to sunti nahin hun apni bhi yahan hota hai apna kab koi kijiye gham se aap hi parda kah raha hai ye muhtajib koi