wo husn ko jalwa-gar karenge

wo husn ko jalwa-gar karenge
aaraish-e-baam-o-dar karenge

har goshe mein hogi khud-numai
har zarre ko rahguzar karenge

hans hans ke karenge chaarasazi
saman-e-dil-o-nazar karenge

hum bhi sar-e-rah muntazir hain
dekhen kab idhar nazar karenge

afsana-e-gham tawil hai dost
is baat ko mukhtasar karenge

hai sham-e-firaq sakht tarik
is sham ki ab sahar karenge

afsurda hain zindagi ke tewar
kab tak yunhi hum basar karenge

aaega 'tabassum' un labon par
aansu bhi kabhi asar karenge


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close