muddat se koi shor bapa ho nahin raha aur hath hai ki dil se juda ho nahin raha ek subh thi jo sham mein tabdil ho gai ek rang hai jo rang-e-hina ho nahin raha hum bhi wahi diya bhi wahi raat bhi wahi kya baat hai jo raqs-e-hawa ho nahin raha hum bhi kisi khayal ke sannahaton mein gum tum se bhi pas-e-ahd-e-wafa ho nahin raha kya chahti hai hum se hamari ye zindagi kya qarz hai jo hum se ada ho nahin raha