wo jahan bhi kaisa jahan tha jahan raat meri guzar gai wo hawa-e-shauq thi mushk-bu rag-e-jaan ko jaise katar gai shab-e-tar jo ki thi ham-safar kisi raste mein basar hui ho bayan-e-wahshat-e-dil bhi kya jo guzar gai so guzar gai jahan dhadkanon ka hisab tha wahin kan us pe lage hue na kisi ko phir bhi khabar hui na kisi ki us pe nazar gai ye jo la-makan hai makan to hai to makin bhi hona zarur hai wo usi ka hukm tha bil-yaqin jo zamin pe nau-e-bashar gai koi rashk-e-husn-e-tamam tha wahi qadd-o-qamat-e-sarw sa wahi barq jis ka bayan ho kya jo giri to dil mein utar gai wo dua thi mere shikasta dil ki jo sidra par bhi na ruk saki rah-e-arsh us ki nazar mein thi na idhar gai na udhar gai