yahi qusur tha us but ki aarzu ki thi

yahi qusur tha us but ki aarzu ki thi
mila wahi na kabhi jis ki justuju ki thi

ba-rang-e-ghuncha zaban band hai ab tak meri
wo baat kab ki hai jab gul se guftugu ki thi

girin wahin pe zamane ki bijliyan aakhir
jahan bina-e-gulistan-e-rang-o-bu ki thi

hamein mitane ke darpe hua hai kyon aakhir
zamane hum ne teri ham-nawai khu ki thi

ghubar udta hai hum ne jahan pe yaron mein
maze udae the aur mil ke ha-o-hu ki thi

samajh ke us ko bhi gham-khwar-o-ham-nawa 'rizwan'
hadis-e-dil kisi dilbar ke ru-ba-ru ki thi


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close