wo jalwa-gah-e-naz mein jis waqt aa gae

wo jalwa-gah-e-naz mein jis waqt aa gae
naz-o-ada se hosh sabhi ke uda gae

dil mein wo aa ke hasrat-o-arman jaga gae
ummid ke charagh jala kar bujha gae

is tarah apna jalwa-e-zeba dikha gae
aa kar nigah-e-shauq se dil mein sama gae

nakhl-e-murad phulon se mera saja gae
wo aa gae to sari bahaaron pe chha gae

kab tak yunhi dikhaenge hum ko wo sabz-bagh
rasm-e-wafa nibhani thi jin ko nibha gae

hum arz-e-muddaa bhi na kuchh un se kar sake
aaya jo dil mein un ke hamein wo suna gae

malum tha na itne talawwun mizaj hain
wo ho gae unhin ke unhen jo bhi bha gae

soz-e-darun ne kar diya jina mera haram
ek aag aisi dida-o-dil mein laga gae

arman the jitne jal ke sabhi khak ho gae
dil par wo aisi barq-e-tabassum gira gae

tark-e-talluqat mein un ko lagi na der
auqat meri kya hai mujhe wo bata gae

qaem khumar us ka hai 'barqi' abhi talak
apni nigah-e-naz se wo jo pila gae


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close