hum se to kisi kaam ki buniyaad na howe jab tak ki udhar hi se kuchh imdad na howe hum ko bhi nahin chain tere ghamzon se dilbar jab tak ki naya ek sitam ijad na howe ai aah zara uthiyo to aahista ki wo jo thoda sa asar hai kahin barbaad na howe di thi ye dua kis ne mere dil ko ilahi ujde ye ghar aisa ki phir aabaad na howe dekha na kisi waqt main hanste hue us ko ye bhi koi dil hai jo kabhi shad na howe bhule se bhi bhulo na kabhi ghairon ka tum nam aur nam hamara hi tumhein yaad na howe kyun dekho ho us ka qad-o-ru bulbul-o-qumri kya samjhe ho tum ye gul-o-shamshad na howe mar jaen qafas mein yun hi hum aah tadap kar itni jo khabar lene ko sayyaad na howe dil jal ke jahan surma hua qais ka ab tak us ja pe jaras pahunche to fariyaad na howe mere liye qatil bhi agar howe to howe par ghair ke haq mein to wo jallad na howe warasta jo ho qaid se hasti ke to behtar par dam se tere 'hasan' aazad na howe