wo jhankar paida hai tar-e-nafas mein ki hai naghma naghma meri dastaras mein tasawwur bahaaron mein duba hua hai chaman ka maza mil raha hai qafas mein gulon mein ye sargoshiyan kis liye hain abhi aur rahna padega qafas mein na jina hai jina na marna hai marna nirali hain sab se mohabbat ki rasmen na dekhi kabhi hum ne gulshan ki surat taraste rahe zindagi bhar qafas mein kaho khwah kuchh bhi magar sach to ye hai jo hote hain jhute wo khate hain qasmen main hone ko yun to riha ho gaya hun meri ruh ab tak hai lekin qafas mein na girta main ai 'naz' un ki nazar se dil apna ye kam-bakht hota jo bas mein