fan jo nadar tak nahin pahuncha abhi meayar tak nahin pahuncha us ne bar-waqt be-rukhi barti shauq aazar tak nahin pahuncha aks-e-mai ho ki jalwa-e-gul ho rang-e-rukhsar tak nahin pahuncha harf-e-inkar sar buland raha zoaf-e-iqrar tak nahin pahuncha hukm-e-sarkar ki pahunch mat puchh ahl-e-sarkar tak nahin pahuncha adl-gahen to dur ki shai hain qatl akhbar tak nahin pahuncha inqilabaat-e-dahr ki buniyaad haq jo haqdar tak nahin pahuncha wo masiha-nafas nahin jis ka silsila-dar tak nahin pahuncha