wo jin ko umar bhar suhag ki duaen di gain suna hai apni chudiyan hi pis pis pi gain bahut hai ye riwayaton ka zahr sari umar ko jo talkhiyan hamare aanchalon mein bandh di gain kabhi na aisi fasl mere ganw mein hui ki jab kusum ke badle chunariyan gulab se rangi gain wo jin ke pairahan ki khushbuen hawa pe qarz thin ruton ki wo udas shahzadiyan chali gain in ungliyon ko chumna bhi bidaten shumar ho wo jin se khak par numu ki aayaten likhi gain saron ka ye lagan ab ke fasl kaun le gaya ye kis ki khetiyan thin aur kis ko saunp di gain