wahshat si wahshat hoti hai zinda hun hairat hoti hai jal bujhne walon se puchho gham ki kya hiddat hoti hai rehn na rakh dena binai is ki bhi muddat hoti hai sare qarz chuka dene ki kabhi kabhi ujlat hoti hai dil aur jaan ke saude jo hain in mein kab hujjat hoti hai khud se jhut kahan tak bolen thodi si khiffat hoti hai apne aap se milne mein bhi ab kitni diqqat hoti hai khud se baaten karne ki bhi ab kis ko fursat hoti hai kuchh kah lo rukhi-sukhi mein apne han barakat hoti hai sona si mitti ke ghar mein kab hum se mehnat hoti hai dhan hamare chidiya khaen chidiyon ko aadat hot hoti hai bachchon se kya shikwa karna mitti mein ulfat hoti hai sabz kiwadon ki jhurriyon mein jugnu ya hairat hoti hai tat ke mat-maile pardon mein kya ujli rangat hoti hai phati purani si chunari mein kya bholi surat hoti hai chawal ki pili roti mein kya sondhi lazzat hoti hai ruli ke ek ek tanke mein poron ki chahat hoti hai jade odh ke so jaane mein kab koi zahmat hoti hai sham ko tera hans kar milna din bhar ki ujrat hoti hai