wo jis ka nam is dil par likhaya hai usi se raaz main ne ye chhupaya hai bahut maghrur hai wo mana ye lekin dawa us ko hi main ne bhi banaya hai yaqin hai khat aa jaega kabhi us ka yun apna hausla main ne badhaya hai samajhta hai mohabbat ko jo be-maani isi ka khwab is dil mein sajaya hai wafa iqrar ulfat dosti sach hain nagar mein jhuth ye kis ne udaya hai khuda hairan hai insan par ab kyon jagah par us ki daulat ko bithaya hai hai roki maut 'qasid' ke liye main ne kahan ye waqt us ne ab lagaya hai