mulk ki miTTi kabhi dil se juda hoti nahin

mulk ki mitti kabhi dil se juda hoti nahin
kitna bhi main tang kar lun man khafa hoti nahin

diary mein jo buzurgon ne likhin thi ibaraten
ab amal ke waste un par raza hoti nahin

wo mila hai jab se mujh ko maut se lagta hai dar
us ki shirkat ke bana koi dua hoti nahin

hai gham-e-furqat yahan to kuchh gham-e-hasti bhi hai
dard badh jata hai had se to dawa hoti nahin

khub hai andaz us ke ruthne ka dosto
dil mein hai naraazi chehre se numa hoti nahin

zindagi to bit jati hai ye sabit karne mein
bas zara sa sath chalna hi wafa hoti nahin

ek arse se mere zindan mein ye qaid hai
ruh mere jism se 'qasid' riha hoti nahin


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close