wo jis ke hisse mein dard-e-jigar nahin aata us aadmi ki dua mein asar nahin aata main aaina hun jo dekhunga wo dikhaunga fareb dene ka mujh ko hunar nahin aata ghubar-e-rah se bach bach ke chalne walon ko tamam umr shuur-e-safar nahin aata dayar-e-zist ko kya ho gaya ki dur talak udasiyon ke siwa kuchh nazar nahin aata hukumaten meri ungli pe raqs karti hain ye kya kaha ki mujhe kuchh hunar nahin aata ye waqt aisa parinda hai jo ki ai 'akhtar' jo ud gaya to kabhi laut kar nahin aata