teri talash mein jis waqt hum nikalte hain

teri talash mein jis waqt hum nikalte hain
qadam bhi chalte hain naqsh-e-qadam bhi chalte hain

jo tund-o-tez hawaon ka rukh badalte hain
jahan mein sirf unhin ke charagh jalte hain

isi liye mere arman nahin nikalte hain
ki tez dhup mein chalne se panw jalte hain

su-e-haram hi muden hum ye kya zaruri hai
teri gali se kai raste nikalte hain

tumhaari sazish-e-paiham ko mat de de kar
wo ek hum hain jo har bar bach nikalte hain

hum un ko dhundne nikle hain dekhiye kya ho
ki jo nuqush-e-kaf-e-pa mita ke chalte hain

utha ke dosh pe 'akhtar' mohabbaton ki salib
hum aaj husn ke bazar mein nikalte hain


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close