wo jis ke nam mein lazzat bahut hai usi ke zikr se barakat bahut hai zara mahfuz raston se guzarna tumhaari shahr mein shohrat bahut hai abhi suraj ne lab khole nahin hain abhi se dhup mein shiddat bahut hai mujhe sone ki qimat mat batao main mitti hun meri azmat bahut hai kisi ki yaad mein khoe rahenge gunah-garon ko ye jannat bahut hai jinhen masruf rahne ka maraz tha unhen bhi aaj-kal fursat bahut hai jahan par khushbuen thin zindagi ki usi mahfil mein ab ghibat bahut hai kabhi to husn ka sadqa nikalo tumhaare pas ye daulat bahut hai ghazal khud kah ke padhna chahte ho miyan is kaam mein mehnat bahut hai hawa to tham chuki lekin diyon ke rawayyon mein abhi dahshat bahut hai